Archive

Posts Tagged ‘Wafa’

…:::Kuch Ashar(4):::…

February 19th, 2009

Wo Milla To Sadioon bad bhi Mairay Lab per koi Gilla na tha
Use mairy chup ne Rula Diya Jise Guftagu Main Kamal Tha

—————————————-

Aaj Hi To Kisi Se Bhichray hain
Aaj ki Raat chandni Kion hai

—————————————-

Ab use Rozana na sochoon to Badan Toote Jata hai Faraz
Ik Umer Ghuzri hai uski yaad ka nasha kertay Kertay

—————————————-

Hunsi Laboon Pe Sajaye Udass Rehta hai
Yeah Kon hai Jo mairay ghar ke pass Rehta hai

—————————————-

Aalam-e-zaat main darwaish Bana Deta hai
Ishq Insaan Ko Pagal Nahi Honay Deta

—————————————-

…:::Rehan Ahmed:::…

General, Urdu Poetry , , , , , , , , , , , , , , , , , , , , ,

…:::!!..~Wafa Main~..!!:::…

January 19th, 2009

Wafa main ab yeah hunar bhi ikhtyar kerna hai
Wo sach kahay na kahay aitbar kerna hai

Yeah tujhko jaagtay rehnay ka shoq kab se huwa?
Mujhay to khair tera intizaar kerna hai

Hawa ki zid main jallaye hain Ansoon k chiraagh
Kabhi yeah jashan ser-e-rah guzaar kerna hai

Wo muskura ker nayi wasoosoon main daal gaya
Khayal tha use sharamsaar kerna hai

Teray firaaq main din kis tarha kaatein
Ke shaghal-e-shab tu sitaray shumaar kerna hai

Chalo yeah Ashak hi moti samajh ker Baich aien
Kisi tarha to humain Rozgaar kerna hai

Ghazal, Urdu Poetry , , , , , , , , , , , , , , , , , ,

…:::Main Jiski Arzoo Ki Kitab Liye Phirta Hoon:::…

January 19th, 2009

Janay kion shiksat ka azab liye phirta hoon

main kiya hoon aur kia khuwab liye phirta hoon

us ne ik bar kiya tha sawal_e_Muhabbat

main her lamha wafa ka jawab liye phirta hoon

us ne poocha kab se nahi soye

main tab se rut jagon ka hisab liye phirta hoon

us ki khuwahish thi ke mery ankhoon main pani dikhay

main us waqat se Ansoon ka sailaab liye phirta hoon

AFSOOS KE WO PHIR BHI MAIRA NA HUWA *FARAZ*

MAIN JIS KI ARZOO KI KITAB LIYE PHIRTA HOON

Romantic Poetry, Urdu Poetry , , , , , , , , , , , , , , , , , , , , ,

…:::Use Bhool Ja:::…

January 19th, 2009

Hama-waqt ranj-o malal kia  jo guzar gaya so guzar gaya
use yaad ker ke na dil dukha, jo guzar gaya so guzar gaya

Na gila kia, na khafa Howay, yoonhi raastay main juda huway
na tu be-wafa, na main be-wafa, jo guzar gaya so guzar gaya

Woh ghazal ki aik kitaab tha, woh gullon main aik gulaab tha
zara dair ka koi khuwab tha, jo guzar gaya so guzar gaya

Mujhe pat-jharon ki kahaniyan , na suna suna ke udaas ker
tu khizan ka phool hai muskura, jo guzar gaya so guzar gaya

Woh udas dhoop samait ker, kahin wadion main uter chuka
use ab na de mere dil sada, jo guzar gaya so guzar gaya

Yeah safar bhi kitna taweel hai, yahan waqt bhi kitna qalil hai
kahan laut ker koi aye ga, jo guzar gaya so guzar gaya

Woh Wafaien thien ke Jafaien thien, yeah na soch kis ki khatien thien
wo tera hai us ko galay laga, jo guzar gaya so guzar gaya

Tujhe aitbaar-o yaqeen nahi, nahi dunya itni buri nahi
na malal ker mere saath Aa, jo guzar gaya so guzar gaya.

Sad Poetry, Urdu Poetry , , , , , , , , , , , , , , , ,

!!..~Wafa Main~..!!

December 30th, 2008

Wafa main ab yeah hunar bhi ikhtyar karna hai
Woh sach kahay na kahay aitbar karna hai

Yeah tujhko jagtay rehnay ka shoq kab se huwa?
Mujhe to khair tera intizar karna hai…

Hawa ki zid main jallaye hai ansoon ke chiraagh
Kabhi yeah jashan sar-e-rah guzar karna hai

Who muskura ker naye wasoso main dal gaya
Khayal tha usay sharamsar karna hai

Tere firaq main din kis tarhan katein
Ke shaghal-e-shab tu sitaare shumar karna hai

Chalo yeah Ashak hi moti samajh ker Baich aaien
Kisi tarha to humein Rozgar karna hai

Sad Poetry, Urdu Poetry , , , , , , , , , , , , , , , , ,