Archive

Posts Tagged ‘Kion hai’

…:::kion hai:::…

January 24th, 2009

Tery Tasweer mairy Ankhoon main Basee kion hai
Jidhar dekhoon bus udhar tu hi kion hai

Tery yadoon se wabasta mairy takdeer hai lekin
Tujhe na paa ker mairy takdeer roothi kion hai

Mujh ko hai khaber asaan nahien tujhe haasil karna
phir bhi yeah intizaar yeah bekarari kion hai

Barsoon guzer gaye mairay tanhayee main lekin
Meri banhoon ko aaj bhi tera intizaar kion hai

Tery chahat ki kasam khoon ke aansoon royaa hoon
Ab nahien hai kuch baqi phir yeah jaan baqi kion hai

Khatam huwa mera yeah afsana ik baat bata doon lekin
Anjaam tha malooom mujh ko phir yeah muhabbat kion hai

Urdu Poetry , , , , , , , , , , , , , , , , ,